kuch shakhsiyat pe jab alfaaz talash kiyay jain aur ager wo kisisafhay ki zeenat bannay say pehlay hi , zehen kay nihan khanoon main, apas main jhagarnay lagain ke pehlay kaghaz ki zeenat main banoon gaaur pehlay main ....to likhnay walay ko ye samjh laina chahyay kezair-e- mazoo hasti pe ya to wo kama haqa hoo likh nahi paey ga ,ya ager kuch likhay ga to is main , lafzoon kay bahmi jhagray main sulah karwanay say ziada ,likhari ka koey kamal na ho ga . kuch aisi hi jang is waqt mairay zehen main jaari hay . aur is saypehlay ke muamla mairay haath say bahir ho main sharoo karti hoon,parhnay walay say guzarish hay ke , mairi adna si koshish ko aikkharaj-e- tehseen kay chotay say tuhfay say ziada na samjhain.main buhut choti thi jab ammi nay mujhay muhallay ki aik khala kaypaas " Qurrani qaeda " parhnay bhaija . " khala ji" kay naam say boorhi si khatoon imam masjid ki bivi thin. masjid kay saath hi aikkamray aur aik chobaray ka chota sa ghar tha . jis kay kachay sehenmain , oondhay tokaray main kut kut karti kuch murghyaan aur un kaychoozay, bhi rehtay thay. sehen kay konay main koeylay wala choolhasaath hi aik huqqa tha . qul khandaan ka maloom nahi laikin un ki aikbaiti sajida baji ka naam aj bhi yaad hay . muhallay ki choti bari bayshumaar larkiyaan khala ji say qurran parhnay ati thin.aur khala ji apni haleem tabeyat say na sirf Qurran ki taleem daitin balkay mujhjaisi anari larkyoon ko , murghyoon ko dana dalana, koelay jalana,kachaysehen main pocha lagana ,chabaray pe ja kay mulhiqa masjid kaymeenaroon pe anay walay kabootroon ko dana dalna , aur garmyoon mainkhajoor wali chatayoon pe , haath wali rang birangi sanwayaan bananabhi un ki di hoey asnaad main shamil tha. qanooni manoon main ye mairipehli " ustaani" thin.main wahaan chand maheenay hi gaey Qurrani qaedaaur baqi lazmi " uloom" per uboor hasil kar liya to baaqi kaQurran main nay apni walida say parhna seekha .laikin mairi"rasm-e-amin" pe unhain bhi yaad rakha gaia . aur us din say aajtak,bhalay hi wo Allah ko piyari ho chuki hain laikin , wo apnaykachay sehen ki soondhi khushboo aur qaeday ka sabaq yaad karti hoeylarkioon kay darmiyaan , koroshyay ki kinaray wali chader mainmuskati hoey aaj bhi mairay samnay hain.apnay school ka pehla din mujhay yaad nahi laikin , kinder garden kipehli teacher " Miss Talaat" teekhay nuqoosh , saaf rangat,naak kaybaien janab hont kay ooper aik muhasa , meethi awaz meethi muskaanaur sarapa muhabbat aaj bhi mujhay kabhi kabhaar 3 saal ki laal ribonbanday hoay nut khat si bachi bannay pe majboor kar daiti hay.aurmath aur english ki copyoon pe ja baja surkh roshnaey say un kay pensay banay hoay starts , aaj bhi mairi ankhoon ki chamak ko barhatayhain." Mrs Razaq" pehli jamaet main mairi drawing ki teacher thin , aur jitni bhi drawing mujhay aaj ati hay sirf un kay aik saal ki muhabbatki badolat hay, unhain nahi maloom ke pehli jamet main cone icecream , patang aur mukhtalif phaloon main rang bharnay wali " main"aaj kaey canvases pe oil aur water painting main kisi had tak mahirhay, laikin ye sirf main jaanti hoon ke drawing ki mairi zindigimain wo wahid teacher rahin hain, jo maira haath paker kay sikhatithin ke " baingan main aik sa rang kis tarha bharna hay " . doosri jamet main " Mrs latif " aur " miss nuzhat " urdu aur englishki " khushkhati" dainay wali teachers , aaj tak aur ainda likhayjanaywalay her her lafz main jhalakti hain.na janay nisaab ki kitabain far far parhnay kay liyay mairi zuban main wo kon sa manterphoonk chuki thin ke hamisha aik hi mah main saari kitaab parh lainayka shauq M.A tak jari raha. panchwin jamet kay usatza main aik naam " Miss Sabahat" ka bhi yaadhay , gutoon say lambi kaali choti , qadray pakkay rang pe akser mairoon aur surkh lipstick main wo mujhay kabhi haulnaak nahi laginthin laikin do moti moti ankhain jab class kay shore machatay hoay bachoon pe jamti aur ghussay say aik jumla ada hota " all of u standup , put your fingures on your lips and stand still until nextperiod." to bas jaisay jaagti ankhoon say khaufnaak khawb daikhahay. khamosh rehnay ki ye mashq main aaj bhi karti hoon , jab kabhibheer aur shore say ghabrati hoon to ji chahta hay ke kahin say misssabahat aa jain aur dunya ko khamosh kara dain.aik aur naam " miss ameena khanam " ka bhi hay , jo panchween mainurdu parhati thi aur un dinoo hamray school ki principal thin.mukamal sufaid libaas, sufaid hi baal hata ke sufaid hi ghari ka stapaur sufaid hi rangat un ka aisa khasa hay ke main bhoolna chahoonbhi to nahi bhool paoon gi. un ki badolat aaj bhi " ink pen " saymujhay raghbat ziada hay. go ke" kachi" pencil ka apna hi lutf haylaikin wo kachi umer main nib pen pakarnay ka maza to aisay hayjaisay bachpan main baray pan ka khawb. 6th class ki" mrs nuzhat naeem " , hallem tabeat , dheemi awaz, aurclass ki bad tameezyoon kay jawab main sabr say muskera dainay ki aala zarfi ki badolat mairi yaad ka hissa ban gaey hain.7th class main jab shaoor nay her taraf say miair zaat main dakhilhona chaha to , us dauraan kuch aisay usataza ka saath mila ke jinsay matric tak mairay ander kay tareek aur gumnaam goshay khud bakhud roshan hotay gaey." Mrs munawer rafeeq" sirf naam ki manawernahi thin balkay isam ba musama rahin, " islamyaat " jaisa bazahirasaan subject bhi unhoon nay itni " wusat say parhaia ke lagta thake adhay ghantay ka ye period saray din ka eham period hay aur sirfisi adhay ghantay kay liyay main school aati hoon. satwin aur athwin class ka aik khasa " Miss gulnaaz" bhi hain ,ausat aur aljabra kay sawal ager kisi ko na ain to maira mashwara hayke wo dua maingay ke unhain koey un jaisi teacher mil jain. sanwalisaloni , smart si miss gulnaz , green board pe sawal samjhati nahithakti thin aur hum apni rough copis pe sawal hal kartay nahi thaktaythay.aik doosra naam " mrs Zaheer " ka hay . english main direct andindirect . tenses aur active passive sikhanay kay liyay jinhoon nayher her harba azamaia .us waqt na sahi laikin ab to un kay boey hoaybeejoon kay pauday phooloon say mehektay hain.matric wo class hoti hay ke jab baqi batoon kay saath insaan main "ana " bhi jagti hay ,aur kuch " maqasid " bhi lukan chupi khailtay hain. aur is kay saath aina daikhna bhi khoobsoorat lagnay lagtahay, aaj kal jisay " teen age" kehtay hain . to teenage main agerkisi ko aala usataza mil jain to aik kamyaab insaan ho sakta hay ,aur is muamlay main bhi main buhut khushqismat rahi .biology ki " miss Parveen", chemistry ki " mis Naheed " physics ki "miss Sajida" , math kay sir Asif . pakistan studies ki " miss Arifa "jaisay tallem yafta aur intehaey tehzeeb yafta usataza milay. in mainsay aik na bhoolnay wali hasti "miss Rahat " hain, aaj ager kuchkhiyal alfaaz main dhalnay kay laeq hoon to sirf unhi ki di hoeytaleem say. urdu jaisay bazahir asaan aur qadray ghair zaroori subject ko un kishakhsiyat "zaroori " aur " paicheeda" samjha aur samjhia . mujhaylagta tha ke un jaisi sumander sift teacher kay samnay main khud koqatra bhi nahi bana paoon gi. aur abhi bhi yehi lagta hay . kuchusataza sooraj ki tarha hotay hain , roshni dainay say unhain koeyfarq nahi parta . aur lainay walay kay liyay thora bhi buhut ho jatahay. aik ustaad kia hota hay , kaisay hota hay kioon hota hay ? sabsawaloon kay jawab main ager koey mujh say kahay ke aik naam lo tomain un ka naam laitay hoay nahi hichkichaoon gi. .. patli dubli ,lambi choti, sada libaas . sanjeedgi aur waqar shakhsiyat main itnithi ke bazahir maloom hota tha ke shaid roab aur aik tasur kay siwakuch nahi laikin , class main atay hi jab matric kay nisaab ki urduki kitaab khulti , sirf main hi nahi saari jamaet pe aik jadoo ka sa aser ho jata , aam seedhay sadhay likhay hoay alfaaz apnay majmooey maani aur mafhoom say abgeenay mehsoos hotay , shaer kay khiyal ,jagti ankh kay khawb mehsoos hotay aur urdu grammer kay usool kisimazboot emarat kay na girnay walay satoon. ager aaj bhi main urdu kiwo kitab kholoon to wo elm ki roshni aur idrak ki khushboo say muterlagti hay. sach janyay to mujhay apni urdu ki kitaab aur urdu kiteacher aik hi cheez kay do aks lagtay.wo parhatay waqt kisi aisay fawaray say kam na thin jo hatalmaqdoor khaitoonko sairaab karta hay , aaj itnay saal ho gaey , un kisarzinash karti nazer . shusta urdu ka muhazab lehja . green board petirchay katay chalk say, makhrooti unglyoon say khushnuma tehreeraur jamaet main un kay anay say tilsamati fiza aisay hay jaisay abhikuch dair pehlay hi " recess" ki ghanti baji ho aur mairay samnay saywo abhi uth kay gaey hoon.wo aisi teachers main say thin jo apnayachay say achay shagird say hi mutmaen nahi hotin laikin un kanikamay say nikama shagird bhi un say her lehas say mutmaen hota.main jitna likhoon soorajh ko chiragh dikhanay kay mutradif hay.in kay elawa aik teacher aisay bhi hain jo mairay ustaad kam aurdost ziada thay . English kay " sirf farooq " . un kay saath dostana rawaya is liyay bhi tha ke womujhay " tution" kay sir thay ,English hi nhai balkay dunya kay kaeyramooz sikhatay thay. zindigi main wahid unhoon nay batia ke nisaabki taleem to asal main sirf 10% hay . qudrat ko ziada manzoor nahitha aur un say main sirf chand mah hi faiz yaab ho saki, dil kay aikarzay main wo achanak chal basay..wo din aisay hi tha jaisay koey yebatey ke sooraj aaj kay baad taloo nahi ho ga ....un kay baad zindigibazahir andhairi si ho gaey ....laikin jis shagird kay haath main ...usatza ki di hoey mishalaain hoon wo andhairoon main hotay hoaybhi nahi hota.matric kay baad agay bari classes main bhi bay shumaar aala zarf usatza aey ,laikin shaid tab sooraj say ziada roshni ka lalach pargaia ya , parhhaey aisi thi ke usatza nay hasb-e-sabiq tasur to choralaikin shaoor kay original parday per jo naqsh thay unhain mainoverlap nahi karna chahti thi.aur yahaan bhi wohi tasur batana chahtihoon jisay khurach kay mitana chahoon to bhi bay kaar hay. laikin yahaan main apnay parhnay waloon ko ye batati chaloon ke ye tosirf cheeda cheeda naam thay , mairi zindidi gi main aisay aftaabungint hain jin ka silsila aaj tak jaari -o- saari hay. kioonke is kizaroorat ka ehsaas mujhay tab hoa jab aik din kuch books pakray ,apna doppata set kartay hoay main khud , 20 bachyoon pe mushtamil 5th class kay kamray main dakhil hoey....chand hi dinoon main mujhay ye andaza ho gaia ke kahaan mairayusataza aur khaan main khud ... saal do teen tadrees kay ye kaam jaari rakha aur usay apnay taur per behtreen karnay ki koshish kartirahi laikin ye kehna bay ja na ho ga ke mairi hazar koshish kaybawjude main itnay usataza main say kisi aik kay muaqablay kaybraber hi nahi. aap ye sochtay hoon gay ke dunya ki ye kon si larki hay jisay usatzasay itni muhabbat thi? ye sawal baja hay yaqeen kijyay us waqt mainaik aam shagird ki tarha apnay usatza ki jitni qader karti thi utnihi naqadri bhi. aam shagird ki tarha hi her teacher ki kamzoryaanbhi dhoondhti thi . aur jab kisi function main mairi hum jamat kisi kinaqal utartin to hans hans kay laut paut bhi ho jati thi. laikin yesab larkpan say naujawani tak atay atay madoom hota gaia .aur is kijaga ezzat-o- qader nay lay li . is liyay , jis din main khud aikteacher kay roop main green board pe aik spelling mistake pe saariclass ki hansi ka nishana bani to main nay unhain dantnay ki bajaeyye socha ke ye hansi mazaq to bachpan tak hi hay , laikin green boardper mita kay likha hoa lafz inhain yaad rahay ga.bas yehi soch kaykhud bhi un kay saath hans di.lectures daitay hoay aik hi din main main " khala ji" say lay kay "miss rahat aur sir farooq " tak saray hi roop behroop badalti . mujhaymaloom nahi ke mairi zaat ka kon sa hissa khalis maira hay. maira haybhi ya nahi. ya ye sab roshni mustaar li hoey hay . ya ke amanat hayjisay baghair khiyanat kay anay walay kal tak pohnchana hay ...
Urdu Essay On School Ka Pehla Din
2ff7e9595c
コメント